humne dekhi hai yahi jazb-o-asar ki surat
ham ne dekhī hai yahī jazb-o-asar kī sūrat
aañkh se dil meñ utar jaao nazar kī sūrat
ek hī shai hai bharam paikar-o-pairāhan kā
kisī aḳhbār ke ho jaao ḳhabar kī sūrat
pūchhnā chāhā thā us ne bhī havāoñ kā mizāj
haath phailā ke bañdhe paañv shajar kī sūrat
use dahlīz pe dekhā to ye mahsūs huā
koī hamrāh bhī thā gard-e-safar kī sūrat
phir tavaqqo kā simaTnā thā zarūrī ki idhar
kuchh ta'alluq se bhī aage thā agar kī sūrat
phuuT jaa.e jo kahīñ sar to ye irfāñ bhī bahut
kisī dīvār se kyā niklegī dar kī sūrat
ziist ta.abīr bhī hai ziist ibārat hī nahīñ
ham ne dekhā hai use zer-o-zabar kī sūrat
sūrat-e-hāl ko siine se lagā lo 'rāhī'
sūrat-e-hāl se kyā hogī mafar kī sūrat
hum ne dekhi hai yahi jazb-o-asar ki surat
aankh se dil mein utar jao nazar ki surat
ek hi shai hai bharam paikar-o-pairahan ka
kisi aKHbar ke ho jao KHabar ki surat
puchhna chaha tha us ne bhi hawaon ka mizaj
hath phaila ke bandhe panw shajar ki surat
use dahliz pe dekha to ye mahsus hua
koi hamrah bhi tha gard-e-safar ki surat
phir tawaqqo ka simaTna tha zaruri ki idhar
kuchh ta'alluq se bhi aage tha agar ki surat
phuT jae jo kahin sar to ye irfan bhi bahut
kisi diwar se kya niklegi dar ki surat
zist tabir bhi hai zist ibarat hi nahin
hum ne dekha hai use zer-o-zabar ki surat
surat-e-haal ko sine se laga lo 'rahi'
surat-e-haal se kya hogi mafar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.