humne dekhi wafa sahaaron ki
ham ne dekhī vafā sahāroñ kī
ban ga.e dhuul rahguzāroñ kī
zaḳhm bharne yahāñ nahīñ paate
ye to bastī hai dil-figāroñ kī
ġham-kadoñ ke charāġh maddham haiñ
ḳhushk āñkheñ haiñ ġham ke māroñ kī
ab to Dasne lage haiñ raaz hameñ
ye ināyat hai rāz-dāroñ kī
dāman-e-gul milā hai sad-pāra
yuuñ haqīqat khulī hai ḳhāroñ kī
āshnā-e-sitam hue jab se
justujū hai sitam-shi.āroñ kī
naav kā Dūbnā lab-e-dariyā
tañg-zarfī hai ye kināroñ kī
'baḳht' jashn-e-shikasta-pā.ī hai
dhuul raqsāñ hai rahguzāroñ kī
hum ne dekhi wafa sahaaron ki
ban gae dhul rahguzaron ki
zaKHm bharne yahan nahin pate
ye to basti hai dil-figaron ki
gham-kadon ke charagh maddham hain
KHushk aankhen hain gham ke maron ki
ab to Dasne lage hain raaz hamein
ye inayat hai raaz-daron ki
daman-e-gul mila hai sad-para
yun haqiqat khuli hai KHaron ki
aashna-e-sitam hue jab se
justuju hai sitam-shiaron ki
naw ka Dubna lab-e-dariya
tang-zarfi hai ye kinaron ki
'baKHt' jashn-e-shikasta-pai hai
dhul raqsan hai rahguzaron ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.