humne duniya ko jis qadar dekha
ham ne duniyā ko jis qadar dekhā
dard-o-āh-o-fuġhāñ kā ghar dekhā
phir kisī āstāñ pe sar na jhukā
jab se us kal kā sang-e-dar dekhā
yug bitā.e haiñ khoj meñ us kī
us ko ham ne nahīñ magar dekhā
ek halchal hī mach ga.ī dil meñ
us ne jab ham ko ik nazar dekhā
chain aatā nahīñ kisī pahlū
ġham-e-ulfat kā ye asar dekhā
phir nigāhoñ meñ koī ġhair na thā
ham ne jab dil meñ Duub kar dekhā
'auj' tum jis ko ishq kahte ho
ham ne ye khel umr bhar dekhā
hum ne duniya ko jis qadar dekha
dard-o-ah-o-fughan ka ghar dekha
phir kisi aastan pe sar na jhuka
jab se us kal ka sang-e-dar dekha
yug bitae hain khoj mein us ki
us ko hum ne nahin magar dekha
ek halchal hi mach gai dil mein
us ne jab hum ko ek nazar dekha
chain aata nahin kisi pahlu
gham-e-ulfat ka ye asar dekha
phir nigahon mein koi ghair na tha
hum ne jab dil mein Dub kar dekha
'auj' tum jis ko ishq kahte ho
hum ne ye khel umr bhar dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.