humne duniya mein ajab tarah ke manzar dekhe
ham ne duniyā meñ ajab tarah ke manzar dekhe
phuul kī shakl meñ aate hue patthar dekhe
jis ne dekhā na ho maiḳhāne kā pur-kaif samāñ
dast-e-sāqī meñ chhalaktā huā sāġhar dekhe
vo nazar tang hai arbāb-e-mohabbat ke liye
bazm-e-jānāñ meñ jo aa kar mah-o-aḳhtar dekhe
jo tasavvur meñ banātā hai hasīñ tāj-mahal
pahle miTTī ke gharauñde to banā kar dekhe
rind to rind haiñ zāhid ba-ḳhudā jhuum ga.e
mai-kade meñ jo khanakte hue sāġhar dekhe
faiz-e-ustād se ḳhālī nahīñ koī shā.ir
yuuñ to mahfil meñ bahut ‘shā.ir’-e-ḳhud-sar dekhe
hum ne duniya mein ajab tarah ke manzar dekhe
phul ki shakl mein aate hue patthar dekhe
jis ne dekha na ho maiKHane ka pur-kaif saman
dast-e-saqi mein chhalakta hua saghar dekhe
wo nazar tang hai arbab-e-mohabbat ke liye
bazm-e-jaanan mein jo aa kar mah-o-aKHtar dekhe
jo tasawwur mein banata hai hasin taj-mahal
pahle miTTi ke gharaunde to bana kar dekhe
rind to rind hain zahid ba-KHuda jhum gae
mai-kade mein jo khanakte hue saghar dekhe
faiz-e-ustad se KHali nahin koi shair
yun to mahfil mein bahut ‘shair’-e-KHud-sar dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.