humne har gham dil-e-sad-chaak se bahar rakkha
ham ne har ġham dil-e-sad-chāk se bāhar rakkhā
aag ko pairahan-e-ḳhāk se bāhar rakkhā
zeb-e-tan ham ne bhī kar rakkhī ye duniyā lekin
tere har rañg ko poshāk se bāhar rakkhā
ḳhvāb-dar-ḳhvāb tujhe DhūñDne vāloñ ne bhī ab
niiñd ko dīda-e-namnāk se bāhar rakkhā
ik tarah dhyān hī aisā ki jise ham ne yahāñ
naf.a nuqsān ke pechāk se bāhar rakkhā
ujrat-e-ishq bahut kam thī sau ham ne 'shahzād'
dil ko is tangī-e-aflāk se bāhar rakkhā
hum ne har gham dil-e-sad-chaak se bahar rakkha
aag ko pairahan-e-KHak se bahar rakkha
zeb-e-tan hum ne bhi kar rakkhi ye duniya lekin
tere har rang ko poshak se bahar rakkha
KHwab-dar-KHwab tujhe DhunDne walon ne bhi ab
nind ko dida-e-namnak se bahar rakkha
ek tarah dhyan hi aisa ki jise hum ne yahan
nafa nuqsan ke pechaak se bahar rakkha
ujrat-e-ishq bahut kam thi sau hum ne 'shahzad'
dil ko is tangi-e-aflak se bahar rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.