humne har ek umid ka putla jala diya
ham ne har ik umiid kā putlā jalā diyā
dushvāriyoñ ko paañv ke nīche dabā diyā
merī tamām uñgliyāñ ghāyal to ho ga.iiñ
lekin tumhārī yaad kā naqsha miTā diyā
maiñ ne tamām chhāñv ġharīboñ meñ baañT dī
aur ye kyā ki dhuup ko pāgal banā diyā
us ke hasīñ libās pe ik daaġh kyā lagā
saarā ġhurūr ḳhaak meñ us kā milā diyā
jo zaḳhm khā ke bhī rahā hai aap kā sadā
us dil pe phir se aap ne ḳhanjar chalā diyā
us ne nibhā.ī ḳhuub mirī dostī 'razā'
ilzām-e-qatl-e-yār mujhī par lagā diyā
hum ne har ek umid ka putla jala diya
dushwariyon ko panw ke niche daba diya
meri tamam ungliyan ghayal to ho gain
lekin tumhaari yaad ka naqsha miTa diya
main ne tamam chhanw gharibon mein banT di
aur ye kya ki dhup ko pagal bana diya
us ke hasin libas pe ek dagh kya laga
sara ghurur KHak mein us ka mila diya
jo zaKHm kha ke bhi raha hai aap ka sada
us dil pe phir se aap ne KHanjar chala diya
us ne nibhai KHub meri dosti 'raza'
ilzam-e-qatl-e-yar mujhi par laga diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.