humne hujjat tamam kar di hai
ham ne hujjat tamām kar dī hai
apnī har fikr 'aam kar dī hai
itne jhagḌe haiñ dīn-o-duniyā ke
sub.h se ham ne shaam kar dī hai
us ke ḳhvāboñ ke intizār meñ huuñ
niiñd jis ne harām kar dī hai
vo koī ḳhaas dost hai jis ne
pusht merī niyām kar dī hai
jis ne labbaik yā-husain kahā
fauj us ne qiyām kar dī hai
ham ne ghoḌe kī pusht par 'rāhib'
ziist apnī maqām kar dī hai
hum ne hujjat tamam kar di hai
apni har fikr 'am kar di hai
itne jhagDe hain din-o-duniya ke
subh se hum ne sham kar di hai
us ke KHwabon ke intizar mein hun
nind jis ne haram kar di hai
wo koi KHas dost hai jis ne
pusht meri niyam kar di hai
jis ne labbaik ya-husain kaha
fauj us ne qiyam kar di hai
hum ne ghoDe ki pusht par 'rahib'
zist apni maqam kar di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.