humne is baat ko pahle kabhi socha hi nahin
ham ne is baat ko pahle kabhī sochā hī nahīñ
ki yahāñ dil kī zabāñ koī samajhtā hī nahīñ
sar chhupāne ko daraḳhtoñ kī ghanī chhāñv bhī hai
shahr meñ ik tirī dīvār kā saaya hī nahīñ
jis meñ kho jaa.eñ to rasta na mile shahroñ kā
shāyad is daur meñ aisā koī sahrā hī nahīñ
tū jahāñ jā.egī māyūs palaT aa.egī
zindagī koī tirā pūchhne vaalā hī nahīñ
Duub jaanā hī muqaddar meñ likhā hai shāyad
is samandar meñ jahāñ koī jazīra hī nahīñ
jaane kyoñ TuuT ke vo shaḳhs milā thā mujh se
is se pahle kahīñ jis ne mujhe dekhā hī nahīñ
maiñ bhare ghar meñ akelā huuñ baḌī muddat se
merā ġham ye hai ki mujh ko koī samjhā hī nahīñ
tum añdhere meñ kise DhūñD rahe ho 'vālī'
koī rātoñ meñ yahāñ ghar se nikaltā hī nahīñ
hum ne is baat ko pahle kabhi socha hi nahin
ki yahan dil ki zaban koi samajhta hi nahin
sar chhupane ko daraKHton ki ghani chhanw bhi hai
shahr mein ek teri diwar ka saya hi nahin
jis mein kho jaen to rasta na mile shahron ka
shayad is daur mein aisa koi sahra hi nahin
tu jahan jaegi mayus palaT aaegi
zindagi koi tera puchhne wala hi nahin
Dub jaana hi muqaddar mein likha hai shayad
is samandar mein jahan koi jazira hi nahin
jaane kyon TuT ke wo shaKHs mila tha mujh se
is se pahle kahin jis ne mujhe dekha hi nahin
main bhare ghar mein akela hun baDi muddat se
mera gham ye hai ki mujh ko koi samjha hi nahin
tum andhere mein kise DhunD rahe ho 'wali'
koi raaton mein yahan ghar se nikalta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.