humne is dhup se aman ke liye
ham ne is dhuup se amaañ ke liye
jism taane haiñ sā.ebāñ ke liye
aañkh manzar se āshnā hī nahīñ
lafz DhūñDe haiñ phir zabāñ ke liye
mujh pe pheñke ga.e the jo patthar
maiñ ne rakkhe haiñ vo makāñ ke liye
ḳhud-farebī to ab nahīñ mumkin
ḳhvāb dekhe haiñ bas jahāñ ke liye
ham jo bheje ga.e haiñ duniyā meñ
ek ta.ana haiñ āsmāñ ke liye
koī ḳhvāhish adhūrī rah jaa.e
koī hiila ho ab fuġhāñ ke liye
jin kī manzil unheñ mayassar ho
vo nikalte haiñ phir kahāñ ke liye
ham udāsī kī ik shabīh haiñ ab
isti.āra haiñ ham ḳhizāñ ke liye
hum ne is dhup se aman ke liye
jism tane hain saeban ke liye
aankh manzar se aashna hi nahin
lafz DhunDe hain phir zaban ke liye
mujh pe phenke gae the jo patthar
main ne rakkhe hain wo makan ke liye
KHud-farebi to ab nahin mumkin
KHwab dekhe hain bas jahan ke liye
hum jo bheje gae hain duniya mein
ek tana hain aasman ke liye
koi KHwahish adhuri rah jae
koi hila ho ab fughan ke liye
jin ki manzil unhen mayassar ho
wo nikalte hain phir kahan ke liye
hum udasi ki ek shabih hain ab
istiara hain hum KHizan ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.