humne jazbaat ko sine mein daba rakkha hai
ham ne jazbāt ko siine meñ dabā rakkhā hai
dil ne is par baḌā tūfān uThā rakkhā hai
tū mujhe chhoḌ chukā jā bhī chukā hai lekin
ḳhud ko ab tak tirī duniyā meñ basā rakkhā hai
be-vafā.ī tirā lahja tire jhūTe vā'de
ek muskān ne har dukh ko chhupā rakkhā hai
pur-sukūñ baiThe haiñ yuuñ to tire aane par bhī
dil kī dhaḌkan ne magar shor machā rakkhā hai
ham ne dushman kā burā bhī nahīñ chāhā hai kabhī
lab pe har ik ke liye harf-e-du'ā rakkhā hai
jaao ai ahl-e-jahāñ DhūñD ke laao us ko
jis ke ġham ne hameñ bīmār banā rakkhā hai
muntazir aaj bhī us kī haiñ ye kāfir āñkheñ
ab talak raah meñ palkoñ ko bichhā rakkhā hai
hum ne jazbaat ko sine mein daba rakkha hai
dil ne is par baDa tufan uTha rakkha hai
tu mujhe chhoD chuka ja bhi chuka hai lekin
KHud ko ab tak teri duniya mein basa rakkha hai
be-wafai tera lahja tere jhuTe wa'de
ek muskan ne har dukh ko chhupa rakkha hai
pur-sukun baiThe hain yun to tere aane par bhi
dil ki dhaDkan ne magar shor macha rakkha hai
hum ne dushman ka bura bhi nahin chaha hai kabhi
lab pe har ek ke liye harf-e-du'a rakkha hai
jao ai ahl-e-jahan DhunD ke lao us ko
jis ke gham ne hamein bimar bana rakkha hai
muntazir aaj bhi us ki hain ye kafir aankhen
ab talak rah mein palkon ko bichha rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.