humne jis se bhi aashnai ki
ham ne jis se bhī āshnā.ī kī
ham se us ne hī bevafā.ī kī
haq-ba-jānib ho tum bajā hai bajā
maiñ ne kī maiñ ne bevafā.ī kī
un se ham tālib-e-vafā kyoñ hoñ
ham ko aadat nahīñ gadā.ī kī
bevafā.ī se bhī vafā na karo
tum ko aadat hai bevafā.ī kī
bevafā.ī kā us se kyā shikva
mujh se dil hī ne bevafā.ī kī
zulf-o-āriz pe ham nahīñ marte
aur hai shaan dilrubā.ī kī
shaiḳh ko rind kar diyā maiñ ne
na chalī kuchh bhī pārsā.ī kī
tālib-e-vasl ham na hoñge kabhī
vasl tamhīd hai judā.ī kī
bevafā bhī nahīñ ho puure tum
koī had bhī hai bevafā.ī kī
kyoñ ḳhajil hoñ huzūr ke dushman
maiñ ne kī maiñ ne bevafā.ī kī
shaan paidā hai tere partav se
zarre-zarre meñ ḳhud-numā.ī kī
jis qadar ham ne kī vafā tum se
us qadar tum ne bevafā.ī kī
kis kā zikr-e-vafā kareñ 'as.ad'
jis ne kī ham se bevafā.ī kī
hum ne jis se bhi aashnai ki
hum se us ne hi bewafai ki
haq-ba-jaanib ho tum baja hai baja
main ne ki main ne bewafai ki
un se hum talib-e-wafa kyon hon
hum ko aadat nahin gadai ki
bewafai se bhi wafa na karo
tum ko aadat hai bewafai ki
bewafai ka us se kya shikwa
mujh se dil hi ne bewafai ki
zulf-o-ariz pe hum nahin marte
aur hai shan dilrubai ki
shaiKH ko rind kar diya main ne
na chali kuchh bhi parsai ki
talib-e-wasl hum na honge kabhi
wasl tamhid hai judai ki
bewafa bhi nahin ho pure tum
koi had bhi hai bewafai ki
kyon KHajil hon huzur ke dushman
main ne ki main ne bewafai ki
shan paida hai tere partaw se
zarre-zarre mein KHud-numai ki
jis qadar hum ne ki wafa tum se
us qadar tum ne bewafai ki
kis ka zikr-e-wafa karen 'asad'
jis ne ki hum se bewafai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.