humne jis tarah guzari hai guzare koi
humne jis tarah guzari hai guzare koi
Mohammad Yasir Mustafvi
MORE BYMohammad Yasir Mustafvi
ham ne jis tarah guzārī hai guzāre koī
aisā lagtā thā ki zanjīr se maare koī
ḳhud-kushī karne ko dariyā kī taraf jaatā huuñ
aur mil jaatā hai har roz kināre koī
ye mohabbat meñ faqat kahne kī bāteñ haiñ miyāñ
lā ke de saktā nahīñ chāñd sitāre koī
ḳhvāb meñ chhoḌ ke tū jaatā hai yuuñ hotā hai
jaise gardan pe chalā.e mirī aare koī
koī mūnis nahīñ yāvar na madad-gār koī
daur-e-hāzir meñ nahīñ detā sahāre koī
āḳhir-e-vaqt pukārā gayā 'yāsir' 'yāsir'
kashmakash meñ thā ki shāyad hī pukāre koī
hum ne jis tarah guzari hai guzare koi
aisa lagta tha ki zanjir se mare koi
KHud-kushi karne ko dariya ki taraf jata hun
aur mil jata hai har roz kinare koi
ye mohabbat mein faqat kahne ki baaten hain miyan
la ke de sakta nahin chand sitare koi
KHwab mein chhoD ke tu jata hai yun hota hai
jaise gardan pe chalae meri aare koi
koi munis nahin yawar na madad-gar koi
daur-e-hazir mein nahin deta sahaare koi
aaKHir-e-waqt pukara gaya 'yasir' 'yasir'
kashmakash mein tha ki shayad hi pukare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.