humne khiDki mein jaan biTha li hai
ham ne khiḌkī meñ jaañ biThā lī hai
us kī āvāz aane vaalī hai
ham ko taalā nazar nahīñ aatā
us ke dar par nazar jamā lī hai
ab kisī bazm meñ na boleñge
us galī meñ sadā lagā lī hai
rakh diye haiñ charāġh khiḌkī meñ
aur ghar meñ havā chalā lī hai
ham to sayyād haiñ hamāre liye
tū hī gulshan hai tū hī maalī hai
mujh se TuuTī huī chhatoñ ne kahā
yaar barsāt aane vaalī hai
us ke kūche meñ naach aa.e haiñ
saare din kī thakan miTā lī hai
piñjre bante haiñ shahr meñ mere
is liye āsmān ḳhālī hai
ḳhaak meñ bhī milā.eñge filhāl
zindagī 'ishq meñ milā lī hai
hum ne khiDki mein jaan biTha li hai
us ki aawaz aane wali hai
hum ko tala nazar nahin aata
us ke dar par nazar jama li hai
ab kisi bazm mein na bolenge
us gali mein sada laga li hai
rakh diye hain charagh khiDki mein
aur ghar mein hawa chala li hai
hum to sayyaad hain hamare liye
tu hi gulshan hai tu hi mali hai
mujh se TuTi hui chhaton ne kaha
yar barsat aane wali hai
us ke kuche mein nach aae hain
sare din ki thakan miTa li hai
pinjre bante hain shahr mein mere
is liye aasman KHali hai
KHak mein bhi milaenge filhaal
zindagi 'ishq mein mila li hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 35)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.