humne KHud apni mohabbat ka gala ghonT diya
ham ne ḳhud apnī mohabbat kā galā ghoñT diyā
dil se uThtī huī chāhat kā galā ghoñT diyā
jo thī sachchā.ī vo zāhir hī nahīñ ho paa.ī
ik fasāne ne haqīqat kā galā ghoñT diyā
haq-bayānī ke liye jab vo huā mahv-e-kalām
ik suḳhanvar ne siyāsat kā galā ghoñT diyā
bas yahāñ denā thā paiġhām-e-mohabbat lekin
kis qadar sab ne rivāyat kā galā ghoñT diyā
kāmyābī bhī qadam us ke hī chūmegī yahāñ
jis ne ḳhud apnī zarūrat kā galā ghoñT diyā
ḳhāna-e-dil meñ sadā jis ko basāyā maiñ ne
us ne hī merī masarrat kā galā ghoñT diyā
dil kā har dard thā sarmāya-e-hastī lekin
'faiz' ne apnī hī ulfat kā galā ghoñT diyā
hum ne KHud apni mohabbat ka gala ghonT diya
dil se uThti hui chahat ka gala ghonT diya
jo thi sachchai wo zahir hi nahin ho pai
ek fasane ne haqiqat ka gala ghonT diya
haq-bayani ke liye jab wo hua mahw-e-kalam
ek suKHanwar ne siyasat ka gala ghonT diya
bas yahan dena tha paigham-e-mohabbat lekin
kis qadar sab ne riwayat ka gala ghonT diya
kaamyabi bhi qadam us ke hi chumegi yahan
jis ne KHud apni zarurat ka gala ghonT diya
KHana-e-dil mein sada jis ko basaya main ne
us ne hi meri masarrat ka gala ghonT diya
dil ka har dard tha sarmaya-e-hasti lekin
'faiz' ne apni hi ulfat ka gala ghonT diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.