humne KHud chheDa hai zaKHmon ko hara rakhna tha
ham ne ḳhud chheḌā hai zaḳhmoñ ko harā rakhnā thā
ḳhud ko ik shaḳhs se tā-umr ḳhafā rakhnā thā
tañg-dāmānī meñ dam ghuTtā hai dīvānoñ kā
ishq ham se thā to phir dil bhī baḌā rakhnā thā
hañste gaate hue din guzrā hai ham logoñ kā
raat ko aur zarā karb-zada rakhnā thā
kam se kam raushnī kā da.avā nahīñ karte tum
jab charāġhoñ ke muqaddar meñ havā rakhnā thā
rañg udāsī ke na jā.eñge chalo maanā magar
kam se kam kamre kā huliya to nayā rakhnā thā
ek ummīd jagā rakhnī thī rukne ke liye
us ko thoḌā sā to darvāza khulā rakhnā thā
jaan le legā firāq ab ki sar-e-ishq tumheñ
dil chalo Thiik magar jism judā rakhnā thā
roz to aate nahīñ ahl-e-azā bastī meñ
un kī ḳhātir to koī dard nayā rakhnā thā
hum ne KHud chheDa hai zaKHmon ko hara rakhna tha
KHud ko ek shaKHs se ta-umr KHafa rakhna tha
tang-damani mein dam ghuTta hai diwanon ka
ishq hum se tha to phir dil bhi baDa rakhna tha
hanste gate hue din guzra hai hum logon ka
raat ko aur zara karb-zada rakhna tha
kam se kam raushni ka dawa nahin karte tum
jab charaghon ke muqaddar mein hawa rakhna tha
rang udasi ke na jaenge chalo mana magar
kam se kam kamre ka huliya to naya rakhna tha
ek ummid jaga rakhni thi rukne ke liye
us ko thoDa sa to darwaza khula rakhna tha
jaan le lega firaq ab ki sar-e-ishq tumhein
dil chalo Thik magar jism juda rakhna tha
roz to aate nahin ahl-e-aza basti mein
un ki KHatir to koi dard naya rakhna tha
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 29)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.