humne KHud ko gham-e-duniya se yun aazad kiya
ham ne ḳhud ko ġham-e-duniyā se yuuñ āzād kiyā
ghar ko vīrān kiyā dasht ko ābād kiyā
jitne naamī haiñ sabhī ishq ke paale hue haiñ
apne jaise hī the us ne jinheñ farhād kiyā
maiñ to din raat tirī yaad meñ gum rahtā huuñ
dostā kyā kabhī tū ne bhī mujhe yaad kiyā
pūchhtā bhī na thā kal tak koī bhī vīrānoñ ko
hijr-zādoñ ne miyāñ dasht ko ābād kiyā
jo tumheñ yaad bhī rakh kar nahīñ raazī 'dā.em'
tum ne kyoñ us ke liye ḳhud ko yuuñ barbād kiyā
hum ne KHud ko gham-e-duniya se yun aazad kiya
ghar ko viran kiya dasht ko aabaad kiya
jitne nami hain sabhi ishq ke pale hue hain
apne jaise hi the us ne jinhen farhad kiya
main to din raat teri yaad mein gum rahta hun
dosta kya kabhi tu ne bhi mujhe yaad kiya
puchhta bhi na tha kal tak koi bhi viranon ko
hijr-zadon ne miyan dasht ko aabaad kiya
jo tumhein yaad bhi rakh kar nahin raazi 'daem'
tum ne kyon us ke liye KHud ko yun barbaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.