humne ki uski justuju dil mein
ham ne kī us kī justujū dil meñ
mil ga.ī dil kī aarzū dil meñ
aisī sūrat hai hū-ba-hū dil meñ
jaise baiThā huā hai tū dil meñ
uf re ye ishq kī balā-noshī
naam ko bhī nahīñ lahū dil meñ
vo tamanna ke sabz baaġh kahāñ
ab nahīñ koī aarzū dil meñ
ishq kā ye nasha ye mastī-e-shauq
utar aa.e mai-o-subū dil meñ
lā-makāñ bhī tirā makāñ bhī tirā
arsh par tū hai aur tū dil meñ
vo tasavvur meñ laa.e haiñ tashrīf
hai mohabbat kī guftugū dil meñ
naam allāh kā rahā baaqī
ya.anī ab hai maqām-e-hū dil dil meñ
ho gayā chāk- dāman-e-hastī
rah ga.ī hasrat-e-rafū dil meñ
zindagī ban ke terī yaad aa.ī
aa ga.ī jān-e-ārzū dil meñ
ālam-e-rang-o-bū tilism sahī
na jamā naqsh-e-rang-o-bū dil meñ
rang lā.egī gul khilā.egī
shauq kī shorish-e-numū dil meñ
ishq rusvā mizāj hai 'shākir'
tā-ba-ke zauq-e-ābrū dil meñ
hum ne ki us ki justuju dil mein
mil gai dil ki aarzu dil mein
aisi surat hai hu-ba-hu dil mein
jaise baiTha hua hai tu dil mein
uf re ye ishq ki bala-noshi
nam ko bhi nahin lahu dil mein
wo tamanna ke sabz bagh kahan
ab nahin koi aarzu dil mein
ishq ka ye nasha ye masti-e-shauq
utar aae mai-o-subu dil mein
la-makan bhi tera makan bhi tera
arsh par tu hai aur tu dil mein
wo tasawwur mein lae hain tashrif
hai mohabbat ki guftugu dil mein
nam allah ka raha baqi
yani ab hai maqam-e-hu dil dil mein
ho gaya chaak- daman-e-hasti
rah gai hasrat-e-rafu dil mein
zindagi ban ke teri yaad aai
aa gai jaan-e-arzu dil mein
aalam-e-rang-o-bu tilism sahi
na jama naqsh-e-rang-o-bu dil mein
rang laegi gul khilaegi
shauq ki shorish-e-numu dil mein
ishq ruswa mizaj hai 'shakir'
ta-ba-ke zauq-e-abru dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.