humne likkhe the hawaon mein fasane apne
ham ne likkhe the havāoñ meñ fasāne apne
uḌ ga.e ek hī jhoñke meñ zamāne apne
suunī āñkhoñ meñ talāsho na vafā ke motī
ham luTā aa.e kahīñ aur ḳhazāne apne
band palkoñ pe ye kis dard ne dastak dī hai
TuuT jaa.eñ na kahīñ ḳhvāb suhāne apne
ham darīche pe khaḌe ho ke kahāñ tak socheñ
chāñd har roz badaltā hai Thikāne apne
kaun parvāna bane kaun jale kis ke liye
sham.a ḳhud baiTh ke ab ro.e sirhāne apne
ham ne toḌā nahīñ maazī se ta'alluq 'qaisar'
har na.e sher meñ aañsū haiñ purāne apne
hum ne likkhe the hawaon mein fasane apne
uD gae ek hi jhonke mein zamane apne
suni aankhon mein talasho na wafa ke moti
hum luTa aae kahin aur KHazane apne
band palkon pe ye kis dard ne dastak di hai
TuT jaen na kahin KHwab suhane apne
hum dariche pe khaDe ho ke kahan tak sochen
chand har roz badalta hai Thikane apne
kaun parwana bane kaun jale kis ke liye
shama KHud baiTh ke ab roe sirhane apne
hum ne toDa nahin mazi se ta'alluq 'qaisar'
har nae sher mein aansu hain purane apne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.