humne mana dil hamara aap ke qabil nahin
ham ne maanā dil hamārā aap ke qābil nahīñ
kyā ise fariyād bhī karne kā haq hāsil nahīñ
jazba-e-ulfat na ho aisā to koī dil nahīñ
āshnā-e-ġham nahīñ to zindagī kāmil nahīñ
is jahān-e-ārzū se duur jaanā hai tujhe
jāda-paimā.ī zamāne kī tirī manzil nahīñ
haq bahāroñ par hamārā bhī hai ahl-e-gulsitāñ
kaun se gul meñ hamārā ḳhūn-e-dil shāmil nahīñ
hai haqīqat-bīñ nigāhoñ kī kamī is daur meñ
tang-nazarī se mubarrā kyā koī mahfil nahīñ
garche duniyā ke jhameloñ meñ hai uljhī zindagī
ai ḳhayāl-e-yār phir bhī tujh se ye ġhāfil nahīñ
ye talātum-ḳhez dariyā ye havā-e-pur-ḳhatar
hai bhañvar meñ naav 'ḳhālid' duur tak sāhil nahīñ
hum ne mana dil hamara aap ke qabil nahin
kya ise fariyaad bhi karne ka haq hasil nahin
jazba-e-ulfat na ho aisa to koi dil nahin
aashna-e-gham nahin to zindagi kaamil nahin
is jahan-e-arzu se dur jaana hai tujhe
jada-paimai zamane ki teri manzil nahin
haq bahaaron par hamara bhi hai ahl-e-gulsitan
kaun se gul mein hamara KHun-e-dil shamil nahin
hai haqiqat-bin nigahon ki kami is daur mein
tang-nazari se mubarra kya koi mahfil nahin
garche duniya ke jhamelon mein hai uljhi zindagi
ai KHayal-e-yar phir bhi tujh se ye ghafil nahin
ye talatum-KHez dariya ye hawa-e-pur-KHatar
hai bhanwar mein naw 'KHalid' dur tak sahil nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.