humne parind-e-wasl ke par kaT Dale hain
ham ne parind-e-vasl ke par kaaT Daale haiñ
jazbāt uThā rahe the jo sar kaaT Daale haiñ
likhnī thī ham ko ek na.ī dāstān-e-hijr
sab vāqi.āt-e-dīda-e-tar kaaT Daale haiñ
baiThī rahe usī qafas-e-unsarī meñ ab
teġh-e-badan ne ruuh ke par kaaT Daale haiñ
ab sher zor-e-be-hunarī se likheñge ham
duniyā ne saare dast-e-hunar kaaT Daale haiñ
jī chāhtā hai dast-e-taraqqī ko kaaT duuñ
jis ne hamāre saare shajar kaaT Daale haiñ
naqqād-e-ḳhushk-zauq ke ghar ho rahā hai jashn
aaj us ne saare misra-e-tar kaaT Daale haiñ
sham.eñ mukāshfāt-e-badan kī jalānī thiiñ
sab ma.arifat ke tār-e-nazar kaaT Daale haiñ
hum ne parind-e-wasl ke par kaT Dale hain
jazbaat uTha rahe the jo sar kaT Dale hain
likhni thi hum ko ek nai dastan-e-hijr
sab waqiat-e-dida-e-tar kaT Dale hain
baiThi rahe usi qafas-e-unsari mein ab
tegh-e-badan ne ruh ke par kaT Dale hain
ab sher zor-e-be-hunari se likhenge hum
duniya ne sare dast-e-hunar kaT Dale hain
ji chahta hai dast-e-taraqqi ko kaT dun
jis ne hamare sare shajar kaT Dale hain
naqqad-e-KHushk-zauq ke ghar ho raha hai jashn
aaj us ne sare misra-e-tar kaT Dale hain
shamen mukashfat-e-badan ki jalani thin
sab marifat ke tar-e-nazar kaT Dale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.