humne qismat se jo ye waqt guzara raushan
ham ne qismat se jo ye vaqt guzārā raushan
kyā falak par hai kahīñ koī sitāra raushan
thak gayā huuñ maiñ bahut roz kī tārīkī se
koī kar de mire manzar ko ḳhudārā raushan
ai mire yaar tirī lau kī zarūrat hai ki aaj
mujhe karnā hai bujhe dil ko dubāra raushan
ḳhush-nazar shaḳhs tū jaatā hai usī jānib kyoñ
jis taraf hai hī nahīñ koī ishāra raushan
varna maiñ chaak pe hī raakh huā jaatā thā
tere chhūne se huā hai mirā gaarā raushan
hum ne qismat se jo ye waqt guzara raushan
kya falak par hai kahin koi sitara raushan
thak gaya hun main bahut roz ki tariki se
koi kar de mere manzar ko KHudara raushan
ai mere yar teri lau ki zarurat hai ki aaj
mujhe karna hai bujhe dil ko dubara raushan
KHush-nazar shaKHs tu jata hai usi jaanib kyon
jis taraf hai hi nahin koi ishaara raushan
warna main chaak pe hi rakh hua jata tha
tere chhune se hua hai mera gara raushan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.