humne raste mein koi shama jala di hoti
ham ne raste meñ koī sham.a jalā dī hotī
duur se hī jo kabhī tum ne sadā dī hotī
mere sab giit tumhāre hī liye haiñ shāyad
tum ne in gītoñ meñ āvāz milā dī hotī
tum ne to kuchh bhī na kahne kī qasam khaa.ī thī
baat jo dil meñ thī ham ne hī batā dī hotī
bhiig jaanī thiiñ is tarah tumhārī palkeñ
vo kahānī jo tumheñ ham ne sunā dī hotī
shāyad insān kā jiinā hī bahut mushkil thā
raaz kī baat jo qudrat ne batā dī hotī
'nāz' bachpan meñ kināre se vo lag hī jaatī
naav kāġhaz kī jo paanī meñ bahā dī hotī
hum ne raste mein koi shama jala di hoti
dur se hi jo kabhi tum ne sada di hoti
mere sab git tumhaare hi liye hain shayad
tum ne in giton mein aawaz mila di hoti
tum ne to kuchh bhi na kahne ki qasam khai thi
baat jo dil mein thi hum ne hi bata di hoti
bhig jaani thin is tarah tumhaari palken
wo kahani jo tumhein hum ne suna di hoti
shayad insan ka jina hi bahut mushkil tha
raaz ki baat jo qudrat ne bata di hoti
'naz' bachpan mein kinare se wo lag hi jati
naw kaghaz ki jo pani mein baha di hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.