humne shab-e-firaq jo aansu bahae hain
humne shab-e-firaq jo aansu bahae hain
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
ham ne shab-e-firāq jo aañsū bahā.e haiñ
vo āsmāñ pe kāhkashāñ ban ke chhā.e haiñ
mad.hosh ham hue to vo tashrīf laa.e haiñ
aise bhī zindagī meñ ka.ī vaqt aa.e haiñ
badlā hai jab mizāj nasīm-e-bahār kā
ham ne qadam qadam pe bagūle uThā.e haiñ
kyā aap jalva-rez haiñ merī nigāh meñ
yā phir mirī nigāh ne parde uThā.e haiñ
mahrūm rakh na apnī tajallī se ai ḳhudā
muusā kī tarah dīda-o-dil ham bhī laa.e haiñ
āh-e-firāq dāġh-e-tamannā junūn-e-shauq
jitne charāġh haiñ tirī mahfil se aa.e haiñ
tasvīr-e-'dard' ḳhud haiñ magar is kā kyā ilaaj
saare jahāñ ke ġham ko ġham-e-dil banā.e haiñ
hum ne shab-e-firaq jo aansu bahae hain
wo aasman pe kahkashan ban ke chhae hain
madhosh hum hue to wo tashrif lae hain
aise bhi zindagi mein kai waqt aae hain
badla hai jab mizaj nasim-e-bahaar ka
hum ne qadam qadam pe bagule uThae hain
kya aap jalwa-rez hain meri nigah mein
ya phir meri nigah ne parde uThae hain
mahrum rakh na apni tajalli se ai KHuda
musa ki tarah dida-o-dil hum bhi lae hain
aah-e-firaq dagh-e-tamanna junun-e-shauq
jitne charagh hain teri mahfil se aae hain
taswir-e-'dard' KHud hain magar is ka kya ilaj
sare jahan ke gham ko gham-e-dil banae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.