humne Thukra diya jo bas mein tha
ham ne Thukrā diyā jo bas meñ thā
varna ik ḳhvāb dastaras meñ thā
maiñ bhī iz.hār kar nahīñ paa.ī
aur kuchh dil bhī pesh-o-pas meñ thā
chhīn lā.ūñ tirī mohabbat kā
har vo pal jo ga.e baras meñ thā
us ke kūche meñ ham ne dekhā hai
kaif sā ek ḳhār-o-ḳhas meñ thā
shab guzārī gulāb lamhoñ meñ
koī ehsās har nafas meñ thā
us ko āzād kar nahīñ paa.ī
dil parinda kisī qafas meñ thā
kyā mohabbat ko DhūñDhtī 'ambar'
mubtalā har koī havas meñ thā
hum ne Thukra diya jo bas mein tha
warna ek KHwab dastaras mein tha
main bhi izhaar kar nahin pai
aur kuchh dil bhi pesh-o-pas mein tha
chhin laun teri mohabbat ka
har wo pal jo gae baras mein tha
us ke kuche mein hum ne dekha hai
kaif sa ek KHar-o-KHas mein tha
shab guzari gulab lamhon mein
koi ehsas har nafas mein tha
us ko aazad kar nahin pai
dil parinda kisi qafas mein tha
kya mohabbat ko DhunDhti 'ambar'
mubtala har koi hawas mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.