humne teri talab ko tamanna bana liya
ham ne tirī talab ko tamanna banā liyā
paḌh paḌh ke terā naam vazīfa banā liyā
hamvār kar lī pahle tire dil kī sarzamīñ
aur phir yahāñ pe apnā Thikāna banā liyā
jis ke kināre baiTh ke kartā thā tum se baat
maiñ ne to us nadī se bhī rishta banā liyā
ham to hamāre dil ko na apnā banā sake
lekin banāne vāloñ ne kyā kyā banā liyā
har saañs pe hai maut kā dhaḌkā lagā huā
qātil ko zindagī ne masīhā banā liyā
ham shātiroñ ke shahr meñ be-mol bik ga.e
ham ko siyāsī logoñ ne mohrā banā liyā
ḳhushbū se roz ḳhat likhā 'hāfiz' havā ke naam
pattoñ ko moḌ de ke lifāfa banā liyā
hum ne teri talab ko tamanna bana liya
paDh paDh ke tera nam wazifa bana liya
hamwar kar li pahle tere dil ki sarzamin
aur phir yahan pe apna Thikana bana liya
jis ke kinare baiTh ke karta tha tum se baat
main ne to us nadi se bhi rishta bana liya
hum to hamare dil ko na apna bana sake
lekin banane walon ne kya kya bana liya
har sans pe hai maut ka dhaDka laga hua
qatil ko zindagi ne masiha bana liya
hum shatiron ke shahr mein be-mol bik gae
hum ko siyasi logon ne mohra bana liya
KHushbu se roz KHat likha 'hafiz' hawa ke nam
patton ko moD de ke lifafa bana liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.