humne TuTte KHwab ko yun aankh mein pas-andaz likha
ham ne TūTte ḳhvāb ko yuuñ aañkh meñ pas-andāz likhā
sarf-e-nazar ke hāshiye meñ aañsū ko hamrāz likhā
sabz ḳhayāl ke takiye par na.ī-navelī chhāp lagī
jab palkoñ ke dhāgoñ se kāḌhā to gul-nāz likhā
sub.h-e-tavajjoh hote hī jab chehre kā phuul khilā
rang-o-bū ke māthe par jhuk kar jā-e-namāz likhā
pyāsī ret kī lahroñ se phūTī 'ibārat paanī kī
jādūgarān-e-sahrā ne bas dariyā-pardāz likhā
shahriyyat kī īñToñ se jab bhī dil tā'mīr kiyā
dīvāroñ kī qismat meñ darvāzoñ kā naaz likhā
ham lauh-e-mahfūz meñ the naql-e-makānī vājib thī
so bāb-e-hijrat kholā aur nasheb-o-farāz likhā
ik shorīda-lafzī sī har safhe par uḌī phirī
likhne meñ jo nahīñ aayā āḳhir vo andāz likhā
hum ne TuTte KHwab ko yun aankh mein pas-andaz likha
sarf-e-nazar ke hashiye mein aansu ko hamraaz likha
sabz KHayal ke takiye par nai-naweli chhap lagi
jab palkon ke dhagon se kaDha to gul-naz likha
subh-e-tawajjoh hote hi jab chehre ka phul khila
rang-o-bu ke mathe par jhuk kar ja-e-namaz likha
pyasi ret ki lahron se phuTi 'ibarat pani ki
jadugaran-e-sahra ne bas dariya-pardaz likha
shahriyyat ki inTon se jab bhi dil ta'mir kiya
diwaron ki qismat mein darwazon ka naz likha
hum lauh-e-mahfuz mein the naql-e-makani wajib thi
so bab-e-hijrat khola aur nasheb-o-faraaz likha
ek shorida-lafzi si har safhe par uDi phiri
likhne mein jo nahin aaya aaKHir wo andaz likha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.