humne wo dasht sanwara hai zamane ke liye
ham ne vo dasht sañvārā hai zamāne ke liye
log aate haiñ jahāñ ḳhud ko miTāne ke liye
ham-safar apnī zarūrat se ziyāda na chale
raah chaltī rahī iqrār nibhāne ke liye
us ko aatā hai sivā rasm-e-judā.ī kā hunar
dar khulā chhoḌ gayā lauT kar aane ke liye
ham bhī hoñ ḳhāk-nashīnoñ kī rivāyat ke amiiñ
chāhe ik musht mile ḳhaak uḌāne ke liye
har qadam saath rahī manzil-e-dil-shād magar
kū-ba-kū phirte rahe Thokareñ khāne ke liye
niiñd aa.e to koī bāb-e-aziyyat hī khule
dastakī yaañ haiñ bahut ḳhvāb satāne ke liye
bol ai gardish-e-ayyām kahāñ jaa.e ye dil
silsila kuchh to bane umr gañvāne ke liye
dar-ba-dar hotī rahī apnī anā kāsa-ba-kaf
sar bhī ḳham hotā rahā qarz chukāne ke liye
sāmnā kar na sakā apnī haqīqat kā 'shakīl'
aa.ina toḌ diyā ḳhud ko chhupāne ke liye
hum ne wo dasht sanwara hai zamane ke liye
log aate hain jahan KHud ko miTane ke liye
ham-safar apni zarurat se ziyaada na chale
rah chalti rahi iqrar nibhane ke liye
us ko aata hai siwa rasm-e-judai ka hunar
dar khula chhoD gaya lauT kar aane ke liye
hum bhi hon KHak-nashinon ki riwayat ke amin
chahe ek musht mile KHak uDane ke liye
har qadam sath rahi manzil-e-dil-shad magar
ku-ba-ku phirte rahe Thokaren khane ke liye
nind aae to koi bab-e-aziyyat hi khule
dastaki yan hain bahut KHwab satane ke liye
bol ai gardish-e-ayyam kahan jae ye dil
silsila kuchh to bane umr ganwane ke liye
dar-ba-dar hoti rahi apni ana kasa-ba-kaf
sar bhi KHam hota raha qarz chukane ke liye
samna kar na saka apni haqiqat ka 'shakil'
aaina toD diya KHud ko chhupane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.