Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne ye baat sab ki zaban se suni to hai

Sahir Lakhnavi

humne ye baat sab ki zaban se suni to hai

Sahir Lakhnavi

MORE BYSahir Lakhnavi

    ham ne ye baat sab zabāñ se sunī to hai

    is vaqt uljhanoñ meñ har ik aadmī to hai

    ham ko safīr-e-shahr-e-vafā māntī to hai

    duniyā ye ham ko jāntī pahchāntī to hai

    qārūn ḳhazāna maiñ le kar karūñgā kyā

    mujh ko kisī ke pyaar daulat milī to hai

    ummīd charāġh jalātā huuñ is liye

    ummīd ke charāġh meñ kuchh raushnī to hai

    har shaḳhs kah rahā hai burā mujh ko shahr meñ

    mujh meñ zarūr koī na koī kamī to hai

    parde meñ tum hañsī ke chhupāo hazār ġham

    lekin tumhārī āñkhoñ meñ 'sāhir' namī to hai

    hum ne ye baat sab ki zaban se suni to hai

    is waqt uljhanon mein har ek aadmi to hai

    hum ko safir-e-shahr-e-wafa manti to hai

    duniya ye hum ko jaanti pahchanti to hai

    qarun ka KHazana main le kar karunga kya

    mujh ko kisi ke pyar ki daulat mili to hai

    ummid ka charagh jalata hun is liye

    ummid ke charagh mein kuchh raushni to hai

    har shaKHs kah raha hai bura mujh ko shahr mein

    mujh mein zarur koi na koi kami to hai

    parde mein tum hansi ke chhupao hazar gham

    lekin tumhaari aankhon mein 'sahir' nami to hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now