ham-palla mere aaj sikandar bhi nahin hai
ham-palla mire aaj sikandar bhī nahīñ hai
ik saltanat-e-husn mire zer-e-nagīñ hai
vo hosh se begāna ho to dekh le jis ko
kyā chiiz hai jaadū jo nigāhoñ meñ nahīñ hai
duur itnā ki duniyā-e-taḳhayyul meñ na aa.e
vo paas hai utnā ki rag-e-jāñ se qarīñ hai
tere ruḳh-e-tābāñ kā nigahbān hai kākul
nazzāra-kunāñ kufr kī āġhosh meñ diiñ hai
is baab meñ kāmil hai yaqīñ mujh ko to 'jauhar'
sab kuchh sahī vo ahd-farāmosh nahīñ hai
ham-palla mere aaj sikandar bhi nahin hai
ek saltanat-e-husn mere zer-e-nagin hai
wo hosh se begana ho to dekh le jis ko
kya chiz hai jadu jo nigahon mein nahin hai
dur itna ki duniya-e-taKHayyul mein na aae
wo pas hai utna ki rag-e-jaan se qarin hai
tere ruKH-e-taban ka nigahban hai kakul
nazzara-kunan kufr ki aaghosh mein din hai
is bab mein kaamil hai yaqin mujh ko to 'jauhar'
sab kuchh sahi wo ahd-faramosh nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.