hum par na karenge wo jafa soch rahe hain
ham par na kareñge vo jafā soch rahe haiñ
ye soch rahe haiñ to burā soch rahe haiñ
ye aap ke altāf-o-karam kā hai natīja
achchhe the jo kal aaj burā soch rahe haiñ
puurī koī hotī nahīñ insāñ kī tamanna
kyā kiije talab vaqt-e-duā soch rahe haiñ
itne to kabhī dast-e-hasīñ surḳh na dekhe
ye ḳhuun hai yā dast-e-hinā soch rahe haiñ
ma.alūm nahīñ jin ko fazā apne vatan kī
duniyā kī hai kis ruḳh pe havā soch rahe haiñ
hairat hai ki har fard ko bīmār banā kar
ab vaqt ke luqmān davā soch rahe haiñ
insāñ kī tabāhī ke liye kyā kareñ taḳhlīq
duniyā-e-taraqqī ke ḳhudā soch rahe haiñ
jiine ke liye shaiḳh ye socheñ ki kareñ kyā
firdaus kī kyoñ ba.ad-e-fanā soch rahe haiñ
manzūr mire zikr pe vo sar ko jhukā.e
kis fikr meñ Duube hue kyā soch rahe haiñ
hum par na karenge wo jafa soch rahe hain
ye soch rahe hain to bura soch rahe hain
ye aap ke altaf-o-karam ka hai natija
achchhe the jo kal aaj bura soch rahe hain
puri koi hoti nahin insan ki tamanna
kya kije talab waqt-e-dua soch rahe hain
itne to kabhi dast-e-hasin surKH na dekhe
ye KHun hai ya dast-e-hina soch rahe hain
malum nahin jin ko faza apne watan ki
duniya ki hai kis ruKH pe hawa soch rahe hain
hairat hai ki har fard ko bimar bana kar
ab waqt ke luqman dawa soch rahe hain
insan ki tabahi ke liye kya karen taKHliq
duniya-e-taraqqi ke KHuda soch rahe hain
jine ke liye shaiKH ye sochen ki karen kya
firdaus ki kyon baad-e-fana soch rahe hain
manzur mere zikr pe wo sar ko jhukae
kis fikr mein Dube hue kya soch rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.