hum par nigah-e-lutf kabhi hai kabhi nahin
hum par nigah-e-lutf kabhi hai kabhi nahin
Pandit Vidya Rattan Asi
MORE BYPandit Vidya Rattan Asi
ham par nigāh-e-lutf kabhī hai kabhī nahīñ
tum hī kaho ye kyā hai agar dil lagī nahīñ
go jī rahā hai aaj bhī koī tire baġhair
lekin ye zindagī to koī zindagī nahīñ
us kī balā se koī jiye yā koī mire
jis ko kisī ke dard kā ehsās hī nahīñ
dil meñ na aarzū hai koī ab na valvala
ik sham.a jal rahī hai magar raushnī nahīñ
āḳhir ham un ke va.adoñ par īmān laa.eñ kyā
jo ham pe mehrbān abhī hai abhī nahīñ
is guftugū kī tarz meñ tarmīm kījiye
kab tak maiñ ḳhāmoshī se sunūñ aap kī nahīñ
'āsī' zabān-e-ḳhāmushī meñ dāstān-e-shauq
ham ne kahī hai bārhā us ne sunī nahīñ
hum par nigah-e-lutf kabhi hai kabhi nahin
tum hi kaho ye kya hai agar dil lagi nahin
go ji raha hai aaj bhi koi tere baghair
lekin ye zindagi to koi zindagi nahin
us ki bala se koi jiye ya koi mere
jis ko kisi ke dard ka ehsas hi nahin
dil mein na aarzu hai koi ab na walwala
ek shama jal rahi hai magar raushni nahin
aaKHir hum un ke wadon par iman laen kya
jo hum pe mehrban abhi hai abhi nahin
is guftugu ki tarz mein tarmim kijiye
kab tak main KHamoshi se sunun aap ki nahin
'asi' zaban-e-KHamushi mein dastan-e-shauq
hum ne kahi hai barha us ne suni nahin
- Book : زندگی کے مارے لوگ (Pg. 22)
- Author : ودیا رتن آسی
- Publication : چیتن پرکاشن،پنجابی بھون،لدھیانہ (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.