hum parindon ke wo dalan hua karte hain
ham parindoñ ke vo dālān huā karte haiñ
jo sabhī ke liye zindān huā karte haiñ
zindagī roz nayā khel khilā detī hai
roz ik chaal pe qurbān huā karte haiñ
sirf qismat nahīñ laatī kisī ko saḌkoñ par
kuchh to apnoñ ke bhī ehsān huā karte haiñ
terī ḳhātir kiyā karte haiñ vo sab kārobār
jin meñ nuqsān hī nuqsān huā karte haiñ
in zamīnoñ pe daraḳhtoñ kī hukūmat thī kabhī
jo udāsī bhare maidān huā karte haiñ
āstīnoñ ko salāmat rakhā maiñ ne jin kī
aaj vo log garebān huā karte haiñ
ik vo labrez sar-e-bazm mohabbat se hai
aur ik ham jo pashemān huā karte haiñ
apnī gardan pe sajā lete haiñ tohmat aur phir
ḳhud-kushī bāñdh ke hairān huā karte haiñ
jaane kyā baat hai 'sayyad' jo nahīñ milte ham
jaane kyā soch ke vīrān huā karte haiñ
hum parindon ke wo dalan hua karte hain
jo sabhi ke liye zindan hua karte hain
zindagi roz naya khel khila deti hai
roz ek chaal pe qurban hua karte hain
sirf qismat nahin lati kisi ko saDkon par
kuchh to apnon ke bhi ehsan hua karte hain
teri KHatir kiya karte hain wo sab karobar
jin mein nuqsan hi nuqsan hua karte hain
in zaminon pe daraKHton ki hukumat thi kabhi
jo udasi bhare maidan hua karte hain
aastinon ko salamat rakha main ne jin ki
aaj wo log gareban hua karte hain
ek wo labrez sar-e-bazm mohabbat se hai
aur ek hum jo pasheman hua karte hain
apni gardan pe saja lete hain tohmat aur phir
KHud-kushi bandh ke hairan hua karte hain
jaane kya baat hai 'sayyad' jo nahin milte hum
jaane kya soch ke viran hua karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.