hum pe ek zulm kar diya gaya hai
ham pe ik zulm kar diyā gayā hai
dil mohabbat se bhar diyā gayā hai
us ke āñgan meñ uḌ ke jaane ko
ik parinde kā par diyā gayā hai
ham ne ik phuul lenā chāhā thā
baaġh kāñToñ se bhar diyā gayā hai
ab tujhe sochnā bhī mushkil hai
itnā masrūf kar diyā gayā hai
koī to ye ḳhabar sunā jaa.e
jiinā āsān kar diyā gayā hai
hum pe ek zulm kar diya gaya hai
dil mohabbat se bhar diya gaya hai
us ke aangan mein uD ke jaane ko
ek parinde ka par diya gaya hai
hum ne ek phul lena chaha tha
bagh kanTon se bhar diya gaya hai
ab tujhe sochna bhi mushkil hai
itna masruf kar diya gaya hai
koi to ye KHabar suna jae
jina aasan kar diya gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.