hum pe ilzam bewafai ke
ham pe ilzām bevafā.ī ke
haa.e andāz dilrubā.ī ke
un ke haath aa ga.ī jahāñ-dārī
vo jo qābil na the gadā.ī ke
kārvāñ ko unhī ne luuTā hai
shor the jin kī rahnumā.ī ke
ham haiñ ‘ijz-o-niyāz kī tasvīr
aap paikar haiñ ḳhud-numā.ī ke
un ke dāman bhī dāġhdār mile
jin ko dā've the pārsā.ī ke
ham se pūchho ki kyā hai lazzat-e-ġham
ham ne jhele haiñ dukh judā.ī ke
ham ne kaaTī haiñ hijr kī rāteñ
ham ne dekhe haiñ din judā.ī ke
in ḳhudāyān-e-jabr ko 'fārūq'
zo'm kitne haiñ kibriyā.ī ke
hum pe ilzam bewafai ke
hae andaz dilrubai ke
un ke hath aa gai jahan-dari
wo jo qabil na the gadai ke
karwan ko unhi ne luTa hai
shor the jin ki rahnumai ke
hum hain ‘ijz-o-niyaz ki taswir
aap paikar hain KHud-numai ke
un ke daman bhi daghdar mile
jin ko da'we the parsai ke
hum se puchho ki kya hai lazzat-e-gham
hum ne jhele hain dukh judai ke
hum ne kaTi hain hijr ki raaten
hum ne dekhe hain din judai ke
in KHudayan-e-jabr ko 'faruq'
zo'm kitne hain kibriyai ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.