hum pe wo mehrban ziyaada hai
ham pe vo mehrbāñ ziyāda hai
is yaqīñ meñ gumāñ ziyāda hai
kuchh kamī hai to kārvāñ meñ yahī
rahbar-e-kārvāñ ziyāda hai
hai to vaa.iz ḳhudā-parast magar
lab pe zikr-e-butāñ ziyāda hai
peshtar bhī yahī qafas thā magar
ab ke shor-e-fuġhāñ ziyāda hai
zulm kī ḳhair ho ki azm-e-javāñ
aur bhī ab javāñ ziyāda hai
allāh allāh bazm-e-nau ke charāġh
raushnī kam dhuāñ ziyāda hai
kam na jaano kisī ko tum 'ḳhāvar'
jo jahāñ hai vahāñ ziyāda hai
hum pe wo mehrban ziyaada hai
is yaqin mein guman ziyaada hai
kuchh kami hai to karwan mein yahi
rahbar-e-karwan ziyaada hai
hai to waiz KHuda-parast magar
lab pe zikr-e-butan ziyaada hai
peshtar bhi yahi qafas tha magar
ab ke shor-e-fughan ziyaada hai
zulm ki KHair ho ki azm-e-jawan
aur bhi ab jawan ziyaada hai
allah allah bazm-e-nau ke charagh
raushni kam dhuan ziyaada hai
kam na jaano kisi ko tum 'KHawar'
jo jahan hai wahan ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.