hum phire shahr mein aawara-o-ruswa barson
ham phire shahr meñ āvāra-o-rusvā barsoñ
dil ke mandir meñ tire vahm ko puujā barsoñ
vo badan chāñd ke jaisā thā mire aks ke saath
din kī raunaq meñ bhī ik ḳhvāb sā dekhā barsoñ
qurb ne khol diye husn ke uqde saare
zindagī khātī rahī ishq kā dhokā barsoñ
ab to hañsne kī ijāzat ġham-e-daurāñ de de
vaqt ro ro ke bahut ham ne guzārā barsoñ
koī aisā na milā jis se ḳhabar kuchh miltī
apnā haal apnī hī tasvīr se pūchhā barsoñ
ab nahīñ taab ki sadmāt kī yūrish jhele
talḳhiyāñ hotī rahīñ dil ko gavāra barsoñ
ye alag baat ki raas aayā tirā ġham ham ko
varna ghere rahā yuuñ to ġham-e-duniyā barsoñ
us se pūchho ki hai kyā kaif-e-shikast-e-ummīd
jis ne jhelā hai ġham-e-va.ada-e-fardā barsoñ
ek ma.asūm lagāvaT thī ki jis kī ḳhātir
dil ko marġhūb rahī ranjish-e-bejā barsoñ
tum ki har saañs meñ har aah meñ har ḳhvāb meñ the
phir bhī ham apne ko paate rahe tanhā barsoñ
aql suljhā na sakī uljhe masā.il 'qādir'
aañkh ne dekhā hai qismat kā tamāsha barsoñ
hum phire shahr mein aawara-o-ruswa barson
dil ke mandir mein tere wahm ko puja barson
wo badan chand ke jaisa tha mere aks ke sath
din ki raunaq mein bhi ek KHwab sa dekha barson
qurb ne khol diye husn ke uqde sare
zindagi khati rahi ishq ka dhoka barson
ab to hansne ki ijazat gham-e-dauran de de
waqt ro ro ke bahut hum ne guzara barson
koi aisa na mila jis se KHabar kuchh milti
apna haal apni hi taswir se puchha barson
ab nahin tab ki sadmat ki yurish jhele
talKHiyan hoti rahin dil ko gawara barson
ye alag baat ki ras aaya tera gham hum ko
warna ghere raha yun to gham-e-duniya barson
us se puchho ki hai kya kaif-e-shikast-e-ummid
jis ne jhela hai gham-e-wada-e-farda barson
ek masum lagawaT thi ki jis ki KHatir
dil ko marghub rahi ranjish-e-beja barson
tum ki har sans mein har aah mein har KHwab mein the
phir bhi hum apne ko pate rahe tanha barson
aql suljha na saki uljhe masail 'qadir'
aankh ne dekha hai qismat ka tamasha barson
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.