hum pyas ke maron ka is tarah guzara hai
ham pyaas ke māroñ kā is tarah guzārā hai
āñkhoñ meñ nadī lekin hāthoñ meñ kināra hai
do chaar qadam chal kar do chaar ghaḌī ruknā
manzil bhī tumhārī hai rasta bhī tumhārā hai
palkoñ ke nasheman se hoñToñ ke gulistāñ tak
kuchh husn tumhārā hai kuchh ishq hamārā hai
phūloñ ke mahakne kā koī to sabab hogā
yā zulf pareshāñ hai yā lab kā ishāra hai
barfāb sī duniyā meñ bas ishq ko thāmeñ rakh
ye aag kā dariyā hī tinke kā sahārā hai
ai pīr-e-muġhāñ tere maiḳhāne meñ to ham ne
ik mai hī nahīñ pī hai jīvan bhī guzārā hai
ye shai jo shab-e-hijrāñ jaltī hai na bujhtī hai
ab aa ke tumhīñ dekho jugnū hai ki taarā hai
hum pyas ke maron ka is tarah guzara hai
aankhon mein nadi lekin hathon mein kinara hai
do chaar qadam chal kar do chaar ghaDi rukna
manzil bhi tumhaari hai rasta bhi tumhaara hai
palkon ke nasheman se honTon ke gulistan tak
kuchh husn tumhaara hai kuchh ishq hamara hai
phulon ke mahakne ka koi to sabab hoga
ya zulf pareshan hai ya lab ka ishaara hai
barfab si duniya mein bas ishq ko thamen rakh
ye aag ka dariya hi tinke ka sahaara hai
ai pir-e-mughan tere maiKHane mein to hum ne
ek mai hi nahin pi hai jiwan bhi guzara hai
ye shai jo shab-e-hijran jalti hai na bujhti hai
ab aa ke tumhin dekho jugnu hai ki tara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.