hum pyason ki yahi kahani jashn manane lagte hain
ham pyāsoñ kī yahī kahānī jashn manāne lagte haiñ
duur kahīñ jab dekheñ paanī jashn manāne lagte haiñ
ham aise the ghar aisā thā gaañv hamārā aisā thā
dekh ke ab tasvīr purānī jashn manāne lagte haiñ
itne mushkil rastoñ par is baar safar hai logoñ kā
dekh ke thoḌī sī āsānī jashn manāne lagte haiñ
dil kī hālat par ham pahle mātam karne lagte the
dekh ke ab to choT purānī jashn manāne lagte haiñ
mere apne kuchh logoñ ko pyaar hai mere ashkoñ se
dekh ke merī aañkh meñ paanī jashn manāne lagte haiñ
hum pyason ki yahi kahani jashn manane lagte hain
dur kahin jab dekhen pani jashn manane lagte hain
hum aise the ghar aisa tha ganw hamara aisa tha
dekh ke ab taswir purani jashn manane lagte hain
itne mushkil raston par is bar safar hai logon ka
dekh ke thoDi si aasani jashn manane lagte hain
dil ki haalat par hum pahle matam karne lagte the
dekh ke ab to choT purani jashn manane lagte hain
mere apne kuchh logon ko pyar hai mere ashkon se
dekh ke meri aankh mein pani jashn manane lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.