hum qafas mein rah ke jis ko aashiyan kahte rahe
ham qafas meñ rah ke jis ko āshiyāñ kahte rahe
thī faqat hadd-e-nazar ham āsmāñ kahte rahe
ik sarāb-e-mustaqil ko gulsitāñ kahte rahe
us but-e-nā-mehrbāñ ko mehrbāñ kahte rahe
āñdhiyoñ ne āshiyāne to miTā Daalā magar
chand tinke āshiyāñ kī dāstāñ kahte rahe
jab zabāñ ne saath chhoḌā ban ga.iiñ ye tarjumāñ
ham jin āñkhoñ ko hamesha be-zabāñ kahte rahe
kārvāñ nazroñ se ojhal thā aur ojhal hī rahā
ham ġhubār-e-kārvāñ ko kārvāñ kahte rahe
dil ke ik chhoTe se goshe meñ vo jā kar gum huā
jis ko nādānī meñ ham saarā jahāñ kahte rahe
is aqīdat kā burā ho ham bayābāñ ko bhī 'mehr'
ḳhūn-e-dil se sīñchte aur gulsitāñ kahte rahe
hum qafas mein rah ke jis ko aashiyan kahte rahe
thi faqat hadd-e-nazar hum aasman kahte rahe
ek sarab-e-mustaqil ko gulsitan kahte rahe
us but-e-na-mehrban ko mehrban kahte rahe
aandhiyon ne aashiyane to miTa Dala magar
chand tinke aashiyan ki dastan kahte rahe
jab zaban ne sath chhoDa ban gain ye tarjuman
hum jin aankhon ko hamesha be-zaban kahte rahe
karwan nazron se ojhal tha aur ojhal hi raha
hum ghubar-e-karwan ko karwan kahte rahe
dil ke ek chhoTe se goshe mein wo ja kar gum hua
jis ko nadani mein hum sara jahan kahte rahe
is aqidat ka bura ho hum bayaban ko bhi 'mehr'
KHun-e-dil se sinchte aur gulsitan kahte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.