ham-rafiqon se kaho KHatm-e-safar achchha hai
ham-rafiqon se kaho KHatm-e-safar achchha hai
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
ham-rafīqoñ se kaho ḳhatm-e-safar achchhā hai
roz kī ḳhāna-badoshī se ye ghar achchhā hai
kis meñ himmat hai ki is ahd meñ ta.amīr kare
kāġhazoñ par jo banā hai vo ghar achchhā hai
ḳhvāb-dar-ḳhvāb tumheñ DhūñD rahā huuñ kab se
ab to ḳhvāboñ kā musalsal ye safar achchhā hai
pahn kar jis ko ḳhurāfāt na.ī paidā hoñ
aisī dastār se mahrūm ye sar achchhā hai
aap meñ jo haiñ vo ausāf kahāñ haiñ mujh meñ
aap kā husn-e-yaqīñ husn-e-nazar achchhā hai
ham-rafiqon se kaho KHatm-e-safar achchha hai
roz ki KHana-badoshi se ye ghar achchha hai
kis mein himmat hai ki is ahd mein tamir kare
kaghazon par jo bana hai wo ghar achchha hai
KHwab-dar-KHwab tumhein DhunD raha hun kab se
ab to KHwabon ka musalsal ye safar achchha hai
pahn kar jis ko KHurafat nai paida hon
aisi dastar se mahrum ye sar achchha hai
aap mein jo hain wo ausaf kahan hain mujh mein
aap ka husn-e-yaqin husn-e-nazar achchha hai
- Book : سائبان غزل (Pg. 94)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.