hum rah-e-shauq mein gir gir ke sanbhal jaenge
ham rah-e-shauq meñ gir gir ke sañbhal jā.eñge
vo nazar badlī to hālāt badal jā.eñge
nigah-e-shauq agar aa ga.ī apnī zid par
sab hijābāt tajallī meñ badal jā.eñge
merī taqdīr meñ aa jā.eñge uljhan ban kar
jitne bal gesū-e-jānāñ ke nikal jā.eñge
qāfile vāloñ ko ye raaz batā de koī
rahnumā badle to raste bhī badal jā.eñge
mere ashkoñ se zarā duur hī rahiye varna
aap ke haath bhī is aag meñ jal jā.eñge
aur do-chār qadam kījiye taklīf-e-ḳhirām
sar uThāte hue fitne bhī kuchal jā.eñge
ye jo bad-mast-e-mai-e-aish-o-tarab haiñ 'mūsā'
Thokareñ khā ke zamāne kī sañbhal jā.eñge
hum rah-e-shauq mein gir gir ke sanbhal jaenge
wo nazar badli to haalat badal jaenge
nigah-e-shauq agar aa gai apni zid par
sab hijabaat tajalli mein badal jaenge
meri taqdir mein aa jaenge uljhan ban kar
jitne bal gesu-e-jaanan ke nikal jaenge
qafile walon ko ye raaz bata de koi
rahnuma badle to raste bhi badal jaenge
mere ashkon se zara dur hi rahiye warna
aap ke hath bhi is aag mein jal jaenge
aur do-chaar qadam kijiye taklif-e-KHiram
sar uThate hue fitne bhi kuchal jaenge
ye jo bad-mast-e-mai-e-aish-o-tarab hain 'musa'
Thokaren kha ke zamane ki sanbhal jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.