hum rahen ya na rahen par kuchh gila rah jaega
ham raheñ yā na raheñ par kuchh gila rah jā.egā
ek āshiq dekhtā sā mubtalā rah jā.egā
maiñ khaḌā rah jā.ūñgā bas āstāñ par sochtā
phuul bhī gul-dān meñ hī bas khilā rah jā.egā
dar-ba-dar ho kar yahāñ se jab chalā jā.ūñgā maiñ
tab mujhe phir khojtā sā ye jahāñ rah jā.egā
bas nadī ke paas tak hī log le kar ā.eñge
is nadī ke ghaaT par hī qāfila rah jā.egā
zikr bhī hogā nahīñ tere fasāne meñ tirā
is fasāne se nikal kar tū nihāñ rah jā.egā
hum rahen ya na rahen par kuchh gila rah jaega
ek aashiq dekhta sa mubtala rah jaega
main khaDa rah jaunga bas aastan par sochta
phul bhi gul-dan mein hi bas khila rah jaega
dar-ba-dar ho kar yahan se jab chala jaunga main
tab mujhe phir khojta sa ye jahan rah jaega
bas nadi ke pas tak hi log le kar aaenge
is nadi ke ghaT par hi qafila rah jaega
zikr bhi hoga nahin tere fasane mein tera
is fasane se nikal kar tu nihan rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.