hum sad-hazar bar tujhe dekhte rahe
hum sad-hazar bar tujhe dekhte rahe
Iftikhar Shahid Abu Saad
MORE BYIftikhar Shahid Abu Saad
ham sad-hazār baar tujhe dekhte rahe
thā shauq be-mahār tujhe dekhte rahe
kuchh ne to muskurā ke kahā alvidā.a magar
kuchh log ashk-bār tujhe dekhte rahe
phir yuuñ huā ki saare badan par nikal paḌīñ
āñkheñ ka.ī hazār tujhe dekhte rahe
dīvār-e-jāñ se naqsh to tahlīl ho ga.e
mizhgāñ ke ār-pār tujhe dekhte rahe
ai husn-e-lā-zavāl tū aayā jo baam par
sadiyoñ ke be-qarār tujhe dekhte rahe
dīda-varān-e-shauq na āñkheñ jhapak sake
lamhoñ kā kyā shumār tujhe dekhte rahe
hum sad-hazar bar tujhe dekhte rahe
tha shauq be-mahaar tujhe dekhte rahe
kuchh ne to muskura ke kaha alwidaa magar
kuchh log ashk-bar tujhe dekhte rahe
phir yun hua ki sare badan par nikal paDin
aankhen kai hazar tujhe dekhte rahe
diwar-e-jaan se naqsh to tahlil ho gae
mizhgan ke aar-par tujhe dekhte rahe
ai husn-e-la-zawal tu aaya jo baam par
sadiyon ke be-qarar tujhe dekhte rahe
dida-waran-e-shauq na aankhen jhapak sake
lamhon ka kya shumar tujhe dekhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.