ham-safar kahan pahunche kuchh pata nahin milta
ham-safar kahan pahunche kuchh pata nahin milta
Tahira Jabeen Tara
MORE BYTahira Jabeen Tara
ham-safar kahāñ pahuñche kuchh patā nahīñ miltā
rāste haiñ sab chup-chup naqsh-e-pā nahīñ miltā
un hasīn lamhoñ ko bhūlnā bhī kab chāhūñ
lekin us kī yādoñ meñ vo mazā nahīñ miltā
ziist ke safar meñ bhī ruuh ke nagar meñ bhī
us ko DhūñDhtī huuñ maiñ aur patā nahīñ miltā
kaun yuuñ bulātā hai har taraf sadā.eñ haiñ
ye qadam to uThte haiñ rāsta nahīñ miltā
apne aap ko har dam khojtī hī rahtī huuñ
apnī zaat kā lekin kuchh sirā nahīñ miltā
yuuñ to duur tak 'tārā' sab fazā mo'attar hai
aur havā ko āñgan kā dar khulā nahīñ miltā
ham-safar kahan pahunche kuchh pata nahin milta
raste hain sab chup-chup naqsh-e-pa nahin milta
un hasin lamhon ko bhulna bhi kab chahun
lekin us ki yaadon mein wo maza nahin milta
zist ke safar mein bhi ruh ke nagar mein bhi
us ko DhunDhti hun main aur pata nahin milta
kaun yun bulata hai har taraf sadaen hain
ye qadam to uThte hain rasta nahin milta
apne aap ko har dam khojti hi rahti hun
apni zat ka lekin kuchh sira nahin milta
yun to dur tak 'tara' sab faza mo'attar hai
aur hawa ko aangan ka dar khula nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.