ham-safar koi nahin to shor-o-shar kis ke liye
ham-safar koī nahīñ to shor-o-shar kis ke liye
ai musāfir ye sadā-e-rahguzar kis ke liye
ḳhud se ab tak baaz rakkhā maiñ ne apne aap ko
mar to jaanā thā mujhe martā magar kis ke liye
kaun aayā hai mire pīchhe ye kaisā vahm hai
maiñ Thahar jaatā huuñ har ik moḌ par kis ke liye
ye jo rañg-e-nā-murādī khil rahā hai chār-sū
ai ḳhizāñ is kā sabab kyā hai ye zar kis ke liye
chain bāhar bhī nahīñ hai phir na jaane kyuuñ 'zafar'
dukh sā hotā hai ki lauT aayā huuñ ghar kis ke liye
ham-safar koi nahin to shor-o-shar kis ke liye
ai musafir ye sada-e-rahguzar kis ke liye
KHud se ab tak baz rakkha main ne apne aap ko
mar to jaana tha mujhe marta magar kis ke liye
kaun aaya hai mere pichhe ye kaisa wahm hai
main Thahar jata hun har ek moD par kis ke liye
ye jo rang-e-na-muradi khil raha hai chaar-su
ai KHizan is ka sabab kya hai ye zar kis ke liye
chain bahar bhi nahin hai phir na jaane kyun 'zafar'
dukh sa hota hai ki lauT aaya hun ghar kis ke liye
- Book : Urdu Adab (Pg. 48)
- Author : Iqbal Hussain
- Publication : Iqbal Hussain Publishers (Jan, Feb. Mar 1996)
- Edition : Jan, Feb. Mar 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.