ham-safar tha hi nahin raKHt-e-safar tha hi nahin
ham-safar thā hī nahīñ raḳht-e-safar thā hī nahīñ
kuchh gañvāne kā mujhe ḳhauf-o-ḳhatar thā hī nahīñ
mujh ko har shaam jahāñ le ke tavaqqo.a aa.ī
dar-o-dīvār to maujūd the ghar thā hī nahīñ
ungliyāñ zaḳhmī huiiñ tab mujhe ehsās huā
dastakeñ dī thiiñ jahāñ par vahāñ dar thā hī nahīñ
mujh se hī pūchhā kiye mere bikharne kā sabab
ahl-e-dānish meñ koī ahl-e-nazar thā hī nahīñ
dhuul uḌaa.ī jahāñ ḳhvāboñ meñ musalsal maiñ ne
kisī naqshe meñ kahīñ par vo nagar thā hī nahīñ
kis pe ilzām rakheñ kis pe lagā.eñ tohmat
merī miTTī meñ simaTne kā hunar thā hī nahīñ
yaad ik shaḳhs thā ik naam hī azbar 'tārā'
sivā us ke koī tā-hadd-e-nazar thā hī nahīñ
ham-safar tha hi nahin raKHt-e-safar tha hi nahin
kuchh ganwane ka mujhe KHauf-o-KHatar tha hi nahin
mujh ko har sham jahan le ke tawaqqoa aai
dar-o-diwar to maujud the ghar tha hi nahin
ungliyan zaKHmi huin tab mujhe ehsas hua
dastaken di thin jahan par wahan dar tha hi nahin
mujh se hi puchha kiye mere bikharne ka sabab
ahl-e-danish mein koi ahl-e-nazar tha hi nahin
dhul uDai jahan KHwabon mein musalsal main ne
kisi naqshe mein kahin par wo nagar tha hi nahin
kis pe ilzam rakhen kis pe lagaen tohmat
meri miTTi mein simaTne ka hunar tha hi nahin
yaad ek shaKHs tha ek nam hi azbar 'tara'
siwa us ke koi ta-hadd-e-nazar tha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.