hum sakun paenge salmaon mein kya
ham sakūñ pā.eñge salmāoñ meñ kyā
ḳhushbuoñ kā qaht hai gaañv meñ kyā
kam nahīñ gahre samundar se jo dil
vo bhalā Dūbegā dariyāoñ meñ kyā
har taraf raushan haiñ yādoñ ke kalas
ghir ga.e haiñ ham kalīsāoñ meñ kyā
jin kī āñkhoñ meñ hai nīñdoñ kā ġhubār
raushnī pā.eñge sahrāoñ meñ kyā
raat din qarnoñ se huuñ garm-e-safar
ek chakkar hai mire paañv meñ kyā
dhuup to badnām hai yūñhī 'razā'
phuul murjhāte nahīñ chhāñv meñ kyā
hum sakun paenge salmaon mein kya
KHushbuon ka qaht hai ganw mein kya
kam nahin gahre samundar se jo dil
wo bhala Dubega dariyaon mein kya
har taraf raushan hain yaadon ke kalas
ghir gae hain hum kalisaon mein kya
jin ki aankhon mein hai nindon ka ghubar
raushni paenge sahraon mein kya
raat din qarnon se hun garm-e-safar
ek chakkar hai mere panw mein kya
dhup to badnam hai yunhi 'raza'
phul murjhate nahin chhanw mein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.