humse afsane mohabbat ke sunae na gae
ham se afsāne mohabbat ke sunā.e na ga.e
dāġh-e-dil aise bhī the un ko dikhā.e na ga.e
baat kuchh bhī na huī thī ki vo hote nālāñ
kaun sī baat thī ham jis pe rulā.e na ga.e
ai mire dost tirī nazr-e-karam hai shāyad
tū ne jo ġham bhī diye the vo chhupā.e na ga.e
ham ne chāhā thā ki kuchh bhī na rahe yaad hameñ
na hī tum yaad rahe aur bhulā.e na ga.e
hālat-e-vasl meñ ham is ke sivā kyā karte
ashk āñkhoñ meñ jo Thahre vo bahā.e na ga.e
bas-ki ik dard-e-mohabbat hī nahīñ thā 'barham'
kyā se kyā zaḳhm the jo ham pe lagā.e na ga.e
hum se afsane mohabbat ke sunae na gae
dagh-e-dil aise bhi the un ko dikhae na gae
baat kuchh bhi na hui thi ki wo hote nalan
kaun si baat thi hum jis pe rulae na gae
ai mere dost teri nazr-e-karam hai shayad
tu ne jo gham bhi diye the wo chhupae na gae
hum ne chaha tha ki kuchh bhi na rahe yaad hamein
na hi tum yaad rahe aur bhulae na gae
haalat-e-wasl mein hum is ke siwa kya karte
ashk aankhon mein jo Thahre wo bahae na gae
bas-ki ek dard-e-mohabbat hi nahin tha 'barham'
kya se kya zaKHm the jo hum pe lagae na gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.