humse apne ganw ki miTTi ke ghar chhine gae
ham se apne gaañv kī miTTī ke ghar chhīne ga.e
jis tarah shahrī parindoñ se shajar chhīne ga.e
titliyoñ ne kāġhzī phūloñ pe Derā kar liyā
rāste meñ jugnuoñ ke bāl-o-par chhīne ga.e
is qadar baḌhne lage haiñ ghar se ghar ke fāsle
dostoñ se shaam ke paidal safar chhīne ga.e
kaale sūraj kī ziyā se shahr andhā ho gayā
ḳhuun meñ ḳhushbū ugāne ke hunar chhīne ga.e
aañkh āñkhoñ se zabānoñ se zabāñ chhīnī ga.ī
dāstāñ se dāstānoñ ke sharar chhīne ga.e
hum se apne ganw ki miTTi ke ghar chhine gae
jis tarah shahri parindon se shajar chhine gae
titliyon ne kaghzi phulon pe Dera kar liya
raste mein jugnuon ke baal-o-par chhine gae
is qadar baDhne lage hain ghar se ghar ke fasle
doston se sham ke paidal safar chhine gae
kale suraj ki ziya se shahr andha ho gaya
KHun mein KHushbu ugane ke hunar chhine gae
aankh aankhon se zabanon se zaban chhini gai
dastan se dastanon ke sharar chhine gae
- Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 201)
- Author : Dr. Jawaz Jafri
- Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.