humse bichhaD ke tumne socha paoge aaram bahut
ham se bichhaḌ ke tum ne sochā pāoge ārām bahut
ye nahīñ sochā dushman-e-jāñ haiñ hijr ke sub.h-o-shām bahut
ishq-e-butāñ ke ham par hī kyoñ aa.ed haiñ ilzām bahut
'mīr'-o-'mirzā' 'hasrat' 'fānī' aur haiñ aise naam bahut
maiñ ne logoñ ko na batāyā kis ne mujhe barbād kiyā
lekin merī ḳhāmoshī ne dohrāyā ik naam bahut
dushman-e-jāñ hai yuuñ to us kī sāda-nigāhī bhī lekin
jin se muḳhātib hoñ vo nigāheñ un ke liye paiġhām bahut
ham to sab kuchh bhuul chuke the aaj ye kaisī baat huī
jis meñ ham donoñ bichhḌe the yaad aa.ī vo shaam bahut
ulfat kī sarkār se 'vāsil' ham to paate rahte haiñ
hasrat-o-armāñ kī sauġhāteñ zaḳhmoñ ke in.aam bahut
hum se bichhaD ke tum ne socha paoge aaram bahut
ye nahin socha dushman-e-jaan hain hijr ke subh-o-sham bahut
ishq-e-butan ke hum par hi kyon aaed hain ilzam bahut
'mir'-o-'mirza' 'hasrat' 'fani' aur hain aise nam bahut
main ne logon ko na bataya kis ne mujhe barbaad kiya
lekin meri KHamoshi ne dohraya ek nam bahut
dushman-e-jaan hai yun to us ki sada-nigahi bhi lekin
jin se muKHatib hon wo nigahen un ke liye paigham bahut
hum to sab kuchh bhul chuke the aaj ye kaisi baat hui
jis mein hum donon bichhDe the yaad aai wo sham bahut
ulfat ki sarkar se 'wasil' hum to pate rahte hain
hasrat-o-arman ki saughaten zaKHmon ke inam bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.